RajeevAamna's Hub
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
RajeevAamna's Hub

the only forum dedicated to RajeevAamna
 
HomeHome  PortalPortal  Latest imagesLatest images  SearchSearch  RegisterRegister  Log inLog in  

 

 All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff...

Go down 
AuthorMessage
surya
RAianz
surya


Posts : 176
Join date : 2008-10-19
Age : 36
Location : Hyderabad,India.

All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff... Empty
PostSubject: All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff...   All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff... Icon_minitimeSat Jan 03, 2009 5:33 pm

" ALL'S WELL THAT ENDS WELL THE SECOND STORY "

sujal kashish business partners hain unke families ke beech achchi dosti hain.. sujal ,kashish bhi bohat achche dost hain.. woh ek dusare ko bachpan se jaanthe hain.. woh dono ek dusare se har ek baat share karthe the.. kashish ke mood aaj kal achcha nahi rehtha tha woh udass rehne lagi thi apni zindagi se root gayi thi.... sujal iski wajah jaantha tha.. woh poori ki poori koshish kartha ki hain ki uski woh poorani wali kashish lout aaye jisse har dum mazak soojtha tha.. kashish ke is tarah badalne ki wajah tha uska pyaar ka dhoka tha… woh piyush naam ke ek ladke ko apna dil de baithi par piyush ne usse pyaar mein dhoka diya… kashish yeh baat bardhast nahi kar payi aur apne aap mein ghut rahi thi... sujal kashish ko aisa nahi dekh paya.. iski do wajah thi ek yeh tha ki kashish uski sabse achchi dost thi aur dusara yeh tha ki sujal hamesha se kashish se pyaar kartha tha lekin woh is baat ka kabhi izhaar nahi kar paya…..
dekhthe hi dekhthe kashish piyush ke dhoke se nikal aayi aur waqt bhi beettha chala gaya.. ek saal ka waqt guzar gaya.. sujal is baat mein kamiyaab ho gaya ki woh kashish ki khoyi hui hasi uski khoyi hui zindagi usse wapas de sake .. aaj kashish wohi kashish thi jisse sujal ne bachpan se jaana hain aur jisse sujal ne kahiin kuch pal ke liye kho diya tha… sujal aur kashish ki dosti aur ghehri hothi gayi.. sujal se jab bhi uske pariwaar wale shaddi ki baat karthe tho sujal baat ko kuch na kuch kehkar taaal detha tha.. wahaan kashish ke bhi yahii haal the.. chahe woh piyush ko bula chuki ho par woh kabhi shaddi nahi karna chahthi thi… kashish bhi kahii na kahii sujal ko pasand karne lagi thi par woh yeh sochthi thi ki agar usne yeh baat
sujal ko batayi tho woh usse mana tho nahi karega aur usse majburan rishthe mein jhud jayega.. sujal dusari taraf yeh sochtha tha ki kahii kashish ko koi majburi mein aakar usse haan na keh de.. inhi sab bato ke chalthe hue sujal aur kashish ke family wale un dono ki shaddi ki baat chalathe hain.. sujal , kashish dono haan kar dethe hain.. par dono is baat par kabhi ek dusare se koi baat nahi karthe the.. kashish sochthi thi ki sujal ne apni family ke wajah se shaddi ke liye haan ki hain aur sujal bhi yahii sochtha hain ki kashish ne apni family ke liye shaddi ke liya haan ki hain…
sujal ,kashish ki engagement aur shaddi ki date fix ho jathi hain..
aaj un dono ki engagement hain.. sujal ,kashish ke dil main ek ajeeb si khushi thi joh woh ek dusare se zahir na kar paye… ab bhi dono ne shaddi ki baat par koi baat nahi ki thi.. dono ko hi ek dusare se shaddi ki baat karne mein hichkhichahat hothi hain… sagai ki rasm shuru hothi hain.. sujal , kashish ek dusare ko anghooti pehan na the hain.. jab sab khush hothe hain tab ek unchaha mehmaan tapak padtha hain.. woh mehmaan sujal ,kashish ke pass jaatha hain sujal kashish usse dekkkar hairaan ho jaathe hain…….
Kashish :- piyush tum ?? yahaan kya kar rahe ho ??
Piyush :- hi kashish , kaisi ho ?? main tho bus tumhe aur sujal ko tumhari sagaai par badayi dene aaya hoon..
Congratulations… piyush yeh kehkar wahaan se chala jatha hain.. par kashish ko usse dekhkar uske dil mein ek ajeeb sa darr baith jaatha hain ki kahii woh unki zindagi barbad karne tho wapas unki zindagi mein nahi aaya…kashish piyush ke wapas aane se badi bechain ho jaathi hain…Sujal ko kashish ki bechaini ko dekhkar aisa lagtha hain ki kashish aaj bhi piyush se pyaar karthi hain…… lekin kashish ke dil mein sujal ko khone ka darr baith gaya tha isliye woh bechain ho rahi thi.. sujal yeh samaj na paya…..engagement party khatam ho jathi hain..
Agle din piyush kashish ko call karke kehtha hain ki :- woh yahaan sirf uske liye aaya hain… piyush yeh bhi kehtha hain ki woh usse pyaar kartha hain aur yeh bhi kehtha hain agar tum meri zindagi mein nahi loutti tho main tumhe choduga nahi… kashish yeh saari baatein sunkar darr jathi hain.. woh apne kamre mein baithkar rone lagthi hain…kashish ko sujal ko khone ka darr satha raha tha aur woh roye jaa rahi thi.. .. tab sujal uske kamre mein aatha hain.. kashish ko aise dekhkar sujal ko lagtha hain ki shayad kashish aaj bhi piyush se pyaar karthi hain aur uske pass wapas jana chahthi hain…… sujal goes to piyush aur usse baat kartha hain.. sujal , piyush ko kashish ke pass le jatha hain & then sujal says ki woh un dono ki zindagi main nahi aayega.. sujal piyush aur kashish ka haath milakar wahaan se chala jatha hain…woh kashish ko kuch bhi kehne ka mouka hi nahi detha……phir piyush bhi wahaan se chala jaatha hain…. kashish sochthi hain ki shayad sujal is rishtey se chutkara chahtha tha isliye usne aisa kiya hain…..kashish sochthi hain ki agar sujal usse shaddi nahi karna chahtha tho na kare par woh piyush ke saath apni zindagi nahi beethayegi.. kashish sujal ke ghar jaathi hain usse apni feelings ka izhaar karne… kashish sujal ke kamre mein jaathi hain.. par sujal usse wahaan nahi miltha… kashish sujal ke kamre se bahar jane lagthi hain jab uski nazar bed par rakhi ek diary par jaathi hain.. kashish woh diary padthi hain.. us diary ko padkar kashish ko yeh ehsaas hotha hain ki sujal usse tabse pyaar kartha jab piyush uski zindagi mein tha bhi nahii.. kashish sujal ka cell try karthi hain par woh off rehtha hain.. usse suddenly yaad aatha hain ki sujal jab bhi akela hona chahtha hain woh sunset point pe jaatha hain…… kashish piyush ko call karke kehthi hain ki woh usse abhi issi waqt sunset point par mile….. piyush & kashish us jagah pohanchthe hain.. kashish sujal ko dekhthi hain aur apni gaadi se bahar nikalthi hain , piyush bhi bahar aatha hain par usne ab thak sujal ko nahi dekha… kashish sujal ki taraf badi , piyush sujal ko wahaan dekhkar pareshaan ho jaatha hain.. sujal wahaan khada ro raha hotha hain jab usse lagtha hain ki koi uske pass khada hain…woh mudke dekhtha hain ki wahaan kashish aur piyush khade hain.. sujal foran apna chehra dusari taraf karke apne aasu pohanch letha hain.. aur kehtha hain….
Sujal :- tum dono yahaan kya kar rahe ho ?? jao aur party karo aur kashish tum uncle aunty ki fikar mat karo main hoon na..……
Kashish uske pass jakar khadi ho jaathi hain aur kehthi hain :- kiss se sach chupane ki koshish kar rahe ho sujal mujhse ya phir apne aapse { kashish sujal ko uski diary dikhathi hain sujal diary dekhkar shock ho jaatha hain}
Sujal :- nahi kashish yeh tho bas aise hi likh di thi maine..sujal kashish se aankh nahi mila raha tha.. sujal , kashish dono ki annkhon se halke se aasu beh rahe the..
Kashish :- theek hain sujal mana tumne is diary mein joh joh bhi likha woh jhoot hain par kya tumhari aankhein bhi jhoot bol rahi hain.. sujal kashish ko dekhtha hain.. aur dono ki annkhen milthi hain..
Kashish :- main tumse kabhi apne dil ki baat keh nahi payi yeh sochkar ki kahiin tum yeh na sochlo ki main tumhara fayada uta rahi hoonn.. lekin aaj main tumse kehthi hoon main tumse pyaar karthi hoon sujal piyush kabhi mera pyaar tha hi nahi woh tho bas ek dhoka tha..bohat pyaar karthi hoon tumse sujal…
Sujal kashish ko dekhtha hain usko uski kaano par vishwaas nahi ho raha tha woh kehtha hain :- kashish main bhi bohat pyaar kartha hoon tumse kashish jee nahi saktha tumhare bina….
Sujal aur kashish ki aanko se khushi ke aasu behthe hain aur sujal kashish gale lagthe hain….
Piyush yeh sab dekhkar shocked hotha hain aur woh undono ko warn karke jaatha hain ki woh unki khushiyo ko thaba kar dega……
Is baat ko hue ek saal beet gaya sujal ,kashish ki shaddi ho chuki thi...woh dono apni zindagi main bohat khush hain.. is ek saal main piyush badi koshish kartha hain un dono ko judaa karne ki.. par woh har baar nakamiyaab hotha hai aur woh tang aakar sujal , kashish ki zindagi se chala jaatha hain..
Aaj ka din sujal aur kashish ke liye nayi khushi laya tha.. aaj un dono ki pehli wedding anniversary hothi hain aur kashish sujal ko sabse achcha tofha dethi hain…kashish sujal se kehthi hain ki woh maa banne wali hain sujal kashish behad khush the.. .. waqt beetha tha gaya sujal ,kashish apni zindagi khushi khushi apne aane wale bachche ke sapne dekhkar guzarne lage……..

hope you liked reading it.. will be waiting for your comments.....

Love Forever
Rajeev...

Surya.... All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff... Icon_smile
Back to top Go down
 
All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff...
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...
» CONDITIONAL & UNCONDITIONAL LOVE-1 (first Story) Short ff..
» CONDITIONAL & UNCONDITIONAL LOVE-2 (Second Story) Short ff..
» Tere Bina- An eternal Love story -Part 2 on pg-2

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
RajeevAamna's Hub :: Creations Hub :: Fanfictions-
Jump to: