RajeevAamna's Hub
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
RajeevAamna's Hub

the only forum dedicated to RajeevAamna
 
HomeHome  PortalPortal  Latest imagesLatest images  SearchSearch  RegisterRegister  Log inLog in  

 

 All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...

Go down 
2 posters
AuthorMessage
surya
RAianz
surya


Posts : 176
Join date : 2008-10-19
Age : 36
Location : Hyderabad,India.

All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Empty
PostSubject: All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...   All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Icon_minitimeSun Nov 23, 2008 3:06 pm

Hey guys... i'am here again with my short stories... is baar mere short fanfics a concept hai "All's Well That Ends Well"... i have written three short fanfics on this concept.. all the three will finish in one go.. so here is "ALL'S WELL THAT ENDS WELL-1".....

"ALL'S WELL THAT ENDS WELL-1 "



do parivaar hain ek hain the garewal’s ek hain the basu’s… garewals aur basu’s business rivals hothe hain.. woh kabhi bhi dosto ki tarah nahi milthe woh jab bhi milthe dushmano ki tarah milthe… yeh baat hui bado ki tho phir in families ke bachche bhi is dushmani se durr kahaan the.. garewals ka ek beta hain sujal garewal aur basu family mein unki ek beti hain kashish basu… kashish aur sujal ek saath college mein padthe hain.. par dono ek dusare ko ek aankh nahi bhathe.. woh dono hamesha ek dusare se jagad padthe ya phir koi argument karthe rehthe…. College khatam hua tho in dono ki zindagi aage badi… woh dono kabhi ek dusare ke saamne nahi aaye woh dono apni apni zindagi mein apni apni business mein mhasroof the…. Lekin sujal ko kashish ki yaad hamesha aathi thi..
woh kahiin na kahii kashish ko pasand kartha tha lekin uska kabhi izhaar na kar paya…. Usse yeh baat ka ehsaas tab hua jab unka college life khatam hua… kashish ke dil mein bhi ek ajeeb tarah ka khichaav tha sujal ke liye joh hamesha usse sujal ki taraf kheechtha tha… lekin kyunke dono business rivals the woh ek dusare ke jazbaat kabhi samaj na paye… aur unke dil mein ek dusare ke liye rivalry badthi gayi par us mein bhi unka pyaar chupa hua tha…..
Ek baar business mein basu’s ko nuksaan hotha hain.. aur kashish ke dil mein yeh baat baith jaathi hain ki yeh nuksaan unhe garewal’s ki wajah se mila hain.. kashish ne kabhi koshish nahi ki woh problem ki teh thak pohanchche ya phir jaanne ki koshish kare ki nuksaan ka asli wajah kya tha..…
Sujal aur kashish ki business rivalry badthi gayi.. yeh baat dekhkar dono families ke bade pareshaan ho gaye.. woh sochthe hain ki ab is dushmani ko khatam kar dena chahiye… sujal aur kashish ke ghar wale yeh nischay karthe hain ki woh ab is dushmani ko dosti aur rishteydaari mein badal denge.. woh sochthe hain ki woh log sujal , kashish ki shaddi karwayenge…
Sujal ko uske ghar wale yeh baat batathe hain.. sujal ko pehle samjh nahi aatha ki woh is baat pe kaise react kare par woh phir khush hotha hain ki kashish uski zindagi ka hissa banne jaa rahi hain .. sujal sochtha hain ki is dushmani ko khatam hona hi chahiye.. ek taraf jahaan sujal apni nayi zindagi ke bare mein soch raha tha aur khush ho raha tha tho duji taraf kashish ke pariwaar wale uski aur sujal ki shaddi ki baat karthe hain… kashish ko samaj nahi aatha ki kyun uske pariwaar wale uski aur sujal ki shaddi ki baat kar rahe hain kashish pehle mana kar dethi hain.. lekin phir kashish sochthi hain ki sujal se apne business ke nuksaan ke badle lene ke liye isse achcha mouka nahi milega.. woh sujal se shaddi ke liye haan kar dethi hain.. sujal yeh jaankar bohat khush hotha hain ki kashish ne shaddi ke liye haan kardi hain kyunke uske dil mein yeh shak tha ki kahiin kashish na na keh de.. dusari taraf kashish sujal ko barbad karne ki soch rahi thi… din guzarthe gaye.. aaj sujal aur kashish ki shaddi thi.. poora rasmo ke baad kashish ki vidaii hui.. woh sujal ke ghar mein apne pehle khadam rakthi hain yeh sochkar ki woh sujal ko kabhi chain se jeene nahi degi.
Us raat kashish sujal ko saari sachayi bata dethi hain woh usse yeh bhi kehthi hain ki woh uski zindagi mein uski barbadi bankar aayi hain… sujal yeh saari baatein sunkar toot jatha hain.. woh kashish ko samjhane ki koshish kartha hain ki unke business ke nuksaan mein uska koi haath nahi tha.. par kashish kuch nahi sunthi…
Waqt beettha gaya sujal kashish ab bhi ek dusare se durr the.. sujal har woh koshish kartha jisse ki woh kashish ka dil jeet sake lekin kashish par in sab baato ka koi asar na hua.. woh sujal ko har waqt tadpathi thi aur sujal sab kuch chup chaap kashish ki behrukhi sehtha tha…par kashish sujal ko chahne bhi lagi thi par uske badle ki bhavna uske pyaar se badi thi… aaj sujal aur kashish ki shaddi ki pehli saal gira { wedding anniversary} thi aur sham mein ghar par ek party thi……. Kashish subah apne ghar jaathi hain aur shaam ko party se pehle loutne ki sochthi hain.. kashish poora din apne mom aur dad ke saath bitathi hain… baton baton mein kashish ke father kashish se kehthe hain ki kashish bohat lucky hain ki usse sujal jaisa pati mila.. woh yeh bhi kehthe hain ki agar sujal business mein humari madat nahi kartha tho unka business dhoob jatha.. kashish ko yeh baat samaj nahi aathi tab uski mom usse samjhathe hue kehthi hain ki jab humme business mein nuksaan hua tha woh bhi isliye kyunke humare manager ne humme paiso ka dhoka diya tab sujal ne humari company mein paise invest karke humme bachaya tha..
Kashish shocked hothi hain aur kehthi hain :- par aap logo ne kabhi yeh baat mujhe kyun nahi batayi ??
Kashish’s mom :- woh is liye kyunke sujal nahi chahtha tha ki tumhe kabhi is baat ka patah chale…
Kashish is feeling very guilty ki usne sujal ke saath itna bura kiya.. woh phir apne ghar garewal house ke liye nikal padthi hain.. kashish ghar pohnchthi hain aur party ke liye taiyaar hothi hain.. sujal ab thak ghar nahi aaya…. ghar par mehmaan aana shuru ho gaye the.. kashish party hall mein aathi hain tho dekhthi hain ki sujal aa chukka hain aur apne dosto se baat kar raha hain.. woh har pal bas sujal ko dekhe jaa rahi thi jab sujal usse dekhtha tho woh apni nazarein neechi kar lethi thi……party bohat dher thak chali sab ne bada maza kiya. Sujal ko kashish ke andaaz badle badle se nazar aaye....phir party khatam hotha hain.. kashish apne kamre mein bed par baithkar ro rahi hothi hain.. sujal room mein aatha hain tho kashish ko aise dekhkar darr jatha hain.. woh kashish ke pass jaakar baiththa hain..
Sujal :- kashishh……
Kashish rothi hui nazro se usse dekhthi hain…
Sujal usse dekhkar pareshaan hotha hain aur kehtha hain :- kya hua kashish ro kyun rahi ho ??
Kashish bina kuch kahe sujal ke gale lagkar rothi hain aur kehthi hain :- kyun tumne aise kiya , kyun tum meri saari baatein sehthe gaye , kyun kabhi mujhe nahi bataya ki humare business ke nuksaan mein tumhara koi haath nahi tha , kyun tumne mujhse yeh baat chupayi ki woh
Tum the jisne humari business ko bachaya… kyun kyun kyun….. woh sujal se durr hothi hain aur sujal ko dekhthi hain joh bas usse hi dekhe jaa raha tha..
Kashish :- bolo sujal kyun ???
Sujal :- kashish tum meri zindagi ho aur tumhare liye main kuch bhi kar saktha hoon.. agar mujhe kabhi tumhare liye marne bhi pade tho main mout ko haste haste gale laga loonga.. { kashish yeh baat sunkar apna haath sujal ke mooh par rakhthi hain aur ishara mein kehthi hain aisa nahi kehthe } sujal kashish ka haath hatakar kehtha hain :- kashish bohat pyaar kartha hoon tumse… jee nahi saktha tumhare bina…
Kashish sujal ko dekhthi hain aur kehthi hain :- main kabhi tumse yeh baat keh rahi payi main bhi tumse pyaar karthi hoon… yeh baat sunthe hi sujal ke chehre per ek halki si muskaan aa jaathi hain.. sujal kashish ko apni baho mein le letha hain.. aur unki zindagi ki nayi shuruwaat hothi hain…

hope you liked reading it.. will be waiting for your comments.....

Love Forever
Rajeev...

Surya....
Back to top Go down
rajeevaamna4eva
RAianz



Posts : 115
Join date : 2008-10-18

All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Empty
PostSubject: Re: All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...   All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Icon_minitimeFri Dec 05, 2008 6:29 pm

hey suri jaan!! wowwww amazing seriously gr88 Short story!!! loved it completely!!! it is fabulous!!! aik dam superb!! agr88 concept which was written really well and the title was very apt 4 the FF!!gr88 going jaan!!!! too good, kep it up!!
Back to top Go down
surya
RAianz
surya


Posts : 176
Join date : 2008-10-19
Age : 36
Location : Hyderabad,India.

All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Empty
PostSubject: Re: All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...   All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Icon_minitimeWed Dec 10, 2008 1:57 am

rajeevaamna4eva wrote:
hey suri jaan!! wowwww amazing seriously gr88 Short story!!! loved it completely!!! it is fabulous!!! aik dam superb!! agr88 concept which was written really well and the title was very apt 4 the FF!!gr88 going jaan!!!! too good, kep it up!!

no thankoo dear.. Smile
Back to top Go down
rajeevaamna4eva
RAianz



Posts : 115
Join date : 2008-10-18

All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Empty
PostSubject: Re: All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...   All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Icon_minitimeTue Dec 16, 2008 4:59 pm

ure welcoem suri jaan!!!
Back to top Go down
Sponsored content





All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Empty
PostSubject: Re: All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...   All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff... Icon_minitime

Back to top Go down
 
All's Well That Ends Well-1 (first story) Short ff...
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» All's Well That Ends Well-2 (Second Story) Short ff...
» CONDITIONAL & UNCONDITIONAL LOVE-1 (first Story) Short ff..
» CONDITIONAL & UNCONDITIONAL LOVE-2 (Second Story) Short ff..
» Tere Bina- An eternal Love story -Part 2 on pg-2

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
RajeevAamna's Hub :: Creations Hub :: Fanfictions-
Jump to: